Friday, 11 November 2016

Best Hindi Shayari of Kumar Vishwas Poetry शायरी Part-1

Best Hindi Shayari of Kumar Vishwas, Hindi Shayari by Kumar Vishwas in Hindi For Love and Heart Touching Shayari, Jindagi Shayari For Facebook and Whatsapp, शायरी, Vishwas kumar Hindi Poetry SMS
Image of Best Hindi Shayari of Kumar Vishwas Poetry शायरी

Kumar Vishwas Best Poetry Hindi Ghazal urdu Style Shayari, Music Shayari, Find Hindi SHayari

1
मेरा जो भी तर्जुबा है, तुम्हे बतला रहा हूँ मैं
कोई लब छु गया था तब, की अब तक गा रहा हूँ मैं
बिछुड़ के तुम से अब कैसे, जिया जाये बिना तडपे
जो मैं खुद ही नहीं समझा, वही समझा रहा हु मैं
Mera jo bhi tajurba hain, tumhe batla raha hoon main
Koi lab cchu gaya tha tab, ki ab tak gaa raha hoon main
Bicchud ke tum se ab kaise, jiya jaaye bina tadpe
Jo main khud hi nahi samjha, wahi samjha raha hoon main
*********************************
2
भ्रमर कोई कुमुदनी पर मचल बैठा तो हंगामा
हमारे दिल में कोई ख्वाब पल बैठा तो हंगामा
अभी तक डूब कर सुनते थे सब किस्सा मोहब्बत का
मैं किस्से को हकीकत में बदल बैठा तो हंगामा
Bhramar koi kumudani par machal baitha to hungama
Humare dil main koi khwab pal baitha to hungama
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohabbt ka
Main kisse ko hakikat main badal baitha to hungama
*********************************
3
कोई खामोश है इतना, बहाने भूल आया हूँ
किसी की इक तरनुम में, तराने भूल आया हूँ
मेरी अब राह मत तकना कभी ए आसमां वालो
मैं इक चिड़िया की आँखों में, उड़ाने भूल आया हूँ
Koi khamosh hain itna, bahane bhool aaya hoon
Kisi ki ik tarnoom main, taraane bhool aaya hoon
Meri ab raah mat takna kabhi e aasman waalo
Main ik chidiya ki aankhonmain, udaane bhool aaya hoon
*********************************
4
ना पाने की खुशी है कुछ, ना खोने का ही कुछ गम है
ये दौलत और शोहरत सिर्फ, कुछ ज़ख्मों का मरहम है
अजब सी कशमकश है,रोज़ जीने, रोज़ मरने में
मुक्कमल ज़िन्दगी तो है, मगर पूरी से कुछ कम है
Na paane ki khushi hain kuch, na khone ka hi kuch gam hain
Ye daulat aur shoharat sirf, kuch jakhmon ka marham hain
Azab si kashmkash hain, roz jine, roz marne maine
Mukkamal zindgi to hain, magar puri se kuch kam hain
*********************************
5
पनाहों में जो आया हो, उस पर वार क्या करना
जो दिल हारा हुआ हो, उस पे फिर से अधिकार क्या करना
मोहब्बत का मज़ा तो, डूबने की कशमकश में है
जो हो मालूम गहरायी, तो दरिया पार क्या करना
Panahon main jo aaya ho, us par war kya karna
Jo dil hara hua ho, us par adhikar kya karna
Mohabbt ka maza to doobne ki kashmkash main hain
Jo ho maloom gahraayi, to dariya paar kya karna
*********************************
6
वो जिसका तीर चुपके से जिगर के पार होता है
वो कोई गैर क्या अपना ही रिश्तेदार होता है
किसी  से अपने दिल की बात तू कहना ना भूले से
यहाँ ख़त भी थोड़ी देर में अखबार होता है
Wo jiska teer chupke se jigar ke paar hota hain
Wo koi gaer kya apna hi ristedaar hota hain
Kisi se apne dil ki baat tu kahna na bhule se
Yaha khat bhi thodi der main akhbaar hota hain
**********************************
7
मेरे जीने मरने में, तुम्हारा नाम आएगा
मैं सांस रोक लू फिर भी, यही इलज़ाम आएगा
हर एक धड़कन में जब तुम हो, तो फिर अपराध क्या मेरा
अगर राधा पुकारेंगी, तो घनश्याम आएगा
Mere jeene marne main, tumhara naam aayegaa
Main saans rok loo phir bhi, yahi ilzaam aayegaa
Har ek dhdkan main jab tum ho, to phir apraadh kya mera
Agar Radha pukarengi, to Ghanshyam aayegaa
*********************************
8
मैं उसका हूँ वो इस एहसास से इनकार करती है
भरी महफ़िल में भी, रुसवा हर बार करती है
यकीं है सारी दुनिया को, खफा है हमसे वो लेकिन
मुझे मालूम है फिर भी मुझी से प्यार करता है
Main uska hoon wo is is ehsas se inkar karti hain
Bhari mahfil main bhi, ruswa har baar karti hain
Yakin hain sari duniya ko, khfaa hain humse wo lekin
Mujhe maloom hain phir bhi mujhee se pyar karti hain
*********************************
9
हमारे शेर सुनकर भी जो खामोश इतना है
खुदा जाने गुरुर ए हुस्न में मदहोश कितना है
किसी प्याले से पूछा है सुराही ने सबब मय का
जो खुद बेहोश हो वो क्या बताये होश कितना है
Humare sher sunkar bhi jo khamosh itna hain
Khuda jaane guroor e husan main madhosh kitna hain
Kisi pyale se pucha hai surahi ne sbab may ka
Jo khud behosh ho wo kya bataye hosh kitna hain
*********************************
10
कोई पत्थर की मूरत है, किसी पत्थर में मूरत है
लो हमने देख ली दुनिया, जो इतनी खुबसूरत है
जमाना अपनी समझे पर, मुझे अपनी खबर यह है
तुझे मेरी जरुरत है, मुझे तेरी जरुरत है
Koi patthar ki moorat hain, kisi patthr main moorat hain
Lo humne dekh lee duniya, jo itni khubsurat hain
Zamana apni samjhe par, mujhe apni khabr yah hain
Tujhe meri jaroorat hain. mujhe teri jaroorat hain
*********************************
11
ये वो ही इरादें हैं, ये वो ही तबस्सुम है
हर एक मोहल्लत में, बस दर्द का आलम है
इतनी उदास बातें, इतना उदास लहजा ,
लगता है की तुम को भी, हम सा ही कोई गम है
Ye vo hi iraade hain, ye vo hi tabassum hai
Har ek mohallat mein bas dard ka aalam hai
Itni udaas baatein, itna udaas lahzaa
Lagta hai ki tum ko bhi, hum sa hi koi gham hai
*********************************
12
स्वयं से दूर हो तुम भी, स्वयं से दूर है हम भी
बहुत मशहुर हो तुम भी, बहुत मशहुर है हम भी
बड़े मगरूर हो तुम भी, बड़े मगरूर है हम भी
अत : मजबुर हो तुम भी, अत : मजबुर है हम भी
Swayam se door ho tum bhi, swayam se door hain hum bhi
Bhaut mashhur ho tum bhi, Bahut mashur hai hum bhi
Bade magroor ho tum bhi, Bade magroor hai hum bhi
Atha majbur ho tum bhi, atha majbur hai hum bhi
*****
13
कहीं पर जग लिए तुम बिन, कहीं पर सो लिए तुम बिन
भरी महफिल में भी अक्सर, अकेले हो लिए तुम बिन
ये पिछले चंद वर्षों की कमाई साथ है अपने
कभी तो हंस लिए तुम बिन, कभी तो रो लिए तुम बिन
Kahi par jag liye tum bin, kahi par so liye tum bin
Bhari mahfil main bhi aksar, akele ho liye tum bin
Ye pichle chand varshon ki, kamai saath hain apne
Kabhi to hans liye tum bin, kabhi to ro liye tum bin
*****
14
कोई दीवाना कहता है, कोई पागल समझता है
मगर धरती की बैचेनी तो, बस बादल समझता है
मैं तुमसे दूर कितना हु , तू मुझसे दूर कितनी है
ये तेरा दिल समझता है , या मेरा दिल समझता है
Koi deewan kahta hain, koi pagal samjhta hain
Magar dharti ki baicheni to, bas badal samjhta hain
Main tumse door kitna hoon, tu mujhse door kitni hain
Ye tera dil samjhta hain, ya mera dil samjhta hain
*****
15
गिरेबां चाक करना क्या है, सीना और मुश्किल है
हर एक पल मुस्कुरा के, अश्क पीना और मुश्किल है
हमारी बदनसीबी ने, हमें इतना सीखाया है
किसी के इश्क में मरने से, जीना और मुश्किल है
Girebaan chaak karna kya hain, seena aur mushkil hain
Har ek pal muskura ke, ashq peena aur mushkil hain
Humari badnaseebee ne, hume itna shikhaya hain
Kisi ke ishq main marne se, jeena aur mushkil hain
*****
16
मोहब्बत एक अहसासों की पावन सी कहानी है
कभी कबीरा दीवाना था, कभी  मीरा दीवानी है
यहाँ सब लोग कहते है, मेरी आँखों में पानी है
जो तुम समझो तो मोती है, जो ना समझो तो पानी है
Mohabbat ek ahsaason ki pawan si kahani hain
Kabhi Kabira deewana tha, kabhi Meera deewani hain
Yaha sab log kahte hain, meri aankhon mein paani hain
Jo tum samjho to moti hain, jo na samjho to paani hain
*****
17
समंदर पीर का अन्दर है, लेकिन रो नहीं सकता
यह आंसू प्यार का मोती है,  इसको खो नहीं सकता
मेरी चाहत को दुल्हन तू,  बना लेना मगर सुन ले
जो मेरा हो नहीं पाया, वो तेरा हो नहीं सकता
Samdar peer ka andar hain, lekin ro nahi sakta
Yah aansoo pyar ka moti hain, isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu, bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paya, wo tera ho nahi sakta
*****
18
यह चादर सुख की मोल क्यू, सदा छोटी बनाता  है
सीरा कोई भी थामो, दूसरा खुद छुट जाता है
तुम्हारे साथ था तो मैं, जमाने भर में रुसवा था
मगर अब तुम नहीं हो तो, ज़माना साथ गाता है
Yah chadar sukh ki mola kyu, sada choti banaata hain
Seera koi bhi thamo, dusra khud chut jaata hain
Tumhare saath tha to main, zamaane bhar main rooswa tha
Magar ab tum nahi ho to, zamaana saath gaata hain
*****
19
बस्ती – बस्ती घोर उदासी, पर्वत – पर्वत सुनापन
मन हीरा बेमोल लुट गया, घिस -घिस रीता मन चंदन
इस धरती से उस अम्बर तक, दो ही चीज़ गजब की है
एक तो तेरा भोलापन है, एक मेरा दीवानापन
Basti basti ghor udasi, parvat parvat sunapan
Man heera bemol lut gaya, ghis ghs reeta man chandan
Is dharti se us ambar tak, do hi cheez gajab ki hain
Ek to tera bholapan hain, ek mera deewanapan
*****
20
इस उड़ान पर अब शर्मिंदा, में भी हूँ  और तू भी है
आसमान से गिरा परिंदा,  में भी हूँ  और तू भी है
छुट गयी रस्ते में, जीने मरने की सारी कसमे
अपने – अपने हाल में जिंदा, में भी हूँ और तू भी है
Is udaan par ab sharminda, main bhi hoon aur tu bhi hain
Aasman se gira parinda, main bhi hoon aur tu bhi hain
Chut gayi raste main, jeene marne  ki sari kasme
Apne apne haal main zinda, main bhi hoon aur tu bhi hain
-----------------------------
We hope Like Our Hindi Shayari By Kumar Vishwas, Share
Loading...

Related Posts:

0 comments:

Post a Comment