Friday, 7 October 2016

Top 20 Sharabi Shayari in Hindi For Boys

Top 20 Sharabi Shayari in Hindi For Boys, Sharabi SMS in Hindi, Hindi Shayari For Sharabi People, Hindi Sharabi SMS, Whatsapp hindi Sharabi Shayari : After : 2 Line Shayari in Hindi Best
Image Of Sharabi Shayari in Hindi For Boys
Image Of Sharabi Shayari in Hindi For Boys
Log Peete Hai Sharab Mehkhane Ja-Ja Kar,
Jo Do Pal Mein Utar Jayegi,
Humne To Pee Hai Apne Mehboob Ki Aankho Se,
Jo Umar Bhar Naa Utar Payegi.


Kuch Log Peete Hain Gam Bhoolane Ko,
Kuch Log Peete Hain Koi Aur Gam Bhoolaane Ko,
Par Ai Dost Ye Kya,
Hum To Mahoal Na Milane Ke Gam Mein Peete Hain.


Ek Jahan Maanga Tha Jisme Bahot Saara Pyar Mile,
Magar De Diya Mehkhana Jahan Bahot Saari Sharab Thi
Ek Kandha Maanga Tha Jiska Mujhe Sahara Mile,
Magar De Di Zindagi Jahan Duniya Bhar Ki Tanhai Thi.


Dard Ki Mehfil Me Ek Sher Hum Bhi Arz Kiya Karte Hai,
Na Kisi Se Marham Na Duaon Ki Ummed Kiya Karte Hai,
Kayi Chehre Lekar Log Yaha Jiya Karte Hai,
Hum In Aasunao Ko Ek Chehre Ke Liye Peeya Karte Hai.


Dil Pe Jab Se Sharab Ka Pehra Lag Gaya,
Gam Ka Andar Aane Ka Raasta Band Ho Gaya,
Zubaan Ne Jab Se Sharab Ko Choo Liya,
Uska Naam Hamesha Ke Liye Bhool Gaya.


Gham Is Kadar Mila Ki Ghabra Ke Pee Gaye,
Khushi Thodi Si Mili To Mila Ke Pee Gaye,
Yun To Naa Thi Janam Se Peene Ki Aadat,
Sharab Ko Tanha Dekha To Taras Khaa Ke Pee Gaye.


Raat Chup Hai Magar Chand Khamosh Nahi,
Kaise Kahoon Aaj Phir Hosh Nahin,
Is Tarah Dooba Hoon Teri Mohabbat Ki Gahrai Mein,
Hath Mein Jaam Hai Aur Peena Ka Hosh Nahin.


Yaaron Ki Mehfil Aise Jamai Jati Hai,
Khulne Se Pehle Botal Hilaayi Jati Hai,
Fir Awaz Lagayi Jati Hai Aa Jao Tute Dil Walo,
Yeh Dard-E-Dil Ki Dawa Pilayi Jati Hai.


Hamesha Yad Ati Hai Unki,
Aur Mood Ho Jata Hai Kharab,
Tab Hamesha Lekar Baithe Hai Hum,
Ek Hath Me Kalam Aur Ek Hath Me Sharab.


Dil Pe Jab Se Sharab Ka Pehra Lag Gaya,
Gam Ka Andar Aane Ka Raasta Band Ho Gaya
Zubaan Ne Jab Se Sharab Ko Chhu Liya,
Uska Naam Hamesha Ke Liye Bhool Gaya.

           Check Out More
Loading...

0 comments:

Post a Comment