Friday, 23 September 2016

Top 50 Very Heart Touching Shayari in Hindi Love and Romantic हिंदी शायरी

Top 50 Very Heart Touching Shayari in Hindi Love and Romantic हिंदी शायरी Best Hindi Love Pyar Shayari For Girls and Boys, Biggest Shayari Colletion SMS Quotes For Whatsapp and facebook
Image Very Heart Touching Shayari in Hindi
image and DP Image Very Heart Touching Shayari in Hindi 
50. Sukun apne dilka maine kho diya,
Khud ko tanhai ke samandar mai dubo diya,
Jo thi mere kabhi muskrane ki wajah,
Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya.

49. Naraaz hona aapse galti kehlayegi,
Aap hue naraaz toh yeh saase tham jayengi,
Aap haste rahe uhi zindagi bhar,
Aapki hasi se hamari zindagi sawar jayengi.

48. Zindagi lehar thi aap sahil hue,
Na jaane kaise hum aapki dosti ke qabil hue,
Na bhulenge hum us haseen pal ko,
Jab aap hamari choti si zindagi mei shamil hue.

47. Tamanna karte ho jin khushiyon ki,
Dua hai woh khushiya aapke kadmo mai ho,
Khuda aapko woh sab haqiqat mai de,
Jo kuch aapke sapno mei ho.

46. Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
Bahut mushkil hota hai dil ko samjana,
Yaar zindagi toh beet jayegi,
Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana.

45. Na dil mei basakar bhulaya karte hain,
Na hasakar rulaya karte hain,
Kabhi mehsoos kar ke dekh lena,
Hum jaise toh dil se rishte nibhaya karte hai.

44. Pyar kya hota hai hum nahi jante,
Zindagi ko hum apna nahi mante,
Gum itne mile ke ehsaas nahi hota,
Koi hume pyar kare ab vishwas nahi hota.

43. Khush nasib hote hain badal,
Jo dur rehkar bhi zameen par baraste hain,
Aur ek badnasib hum hain,
Jo ek hi duniya mei rehkar bhi,
Milne ko taraste hain.

42. Gum mei hasne walo ko rulaya nahi jata,
Lehron ko pani se milaya nahi jata,
Hone wale khud hi apne ho jate hain,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.

41. Tere mere rishte ko kya naam dun,
Yeh naam dun ya woh naam dun,
Is duniya ki bhid mai naam ho jate hai badnaam,
Kyun na apne rishte ko benaam hi rehne dun.

40. Zindagi milti hai himmat walo ko,
Khushi milti hai taqdir wale ko,
Pyar milta hai dilwalo ko,
Aur aap jaisa DOST milta hai,
Hum jaisa nasib wale ko.

39. Log kehte hai tum kyun apni mohabbat ka izhaar unse nahi karte ?
Maine kaha- Jo lafzo mai bayan ho jaye,
Sirf utna pyar hum unse nahi karte.

38. Kashish toh bahut hai mere pyar mai,
Lekin koi hai pathar dil jo pigalta nahi,
Agar mile khuda to mangungi usko,
Suna hai khuda marne se pehle milte nahi.

37. Phir wahi din hoga,
phir wahi raat hogi,
Lekin na jaane phir kab mulakat hogi,
Magar karte rehna sms,
Tabhi to dil se dil ki baat hogi…

36. Dost teri dosti pe naaz karte hain,
Har waqt milne ki fariyaad karte hain,
Hame nahi pata, gharwale batate hain,
Ki hum neend mei bhi aapse baat karte hain.

35. Hichkiya kyon mujhe aane lagi hain,
Fizaon se bhi siskiya aane lagi hai,
Yeh sochkar dil hai bahut khush,
Ki yaad meri bhi kisi ko aane lagi hai.

34. Na jane saloon baad kaisa sama hoga,
Hum sab doston mei se kaun kaha hoga,
Phir agar milna hoga to milenge khwabon mai,
Jaise sukhe gulab milte hai kitabon mai.

33. Aaj har ek pal khoobsurat hai,
Dil mei sirf teri surath hai,
Kuch bhi kahe yeh duniya gum nahi,
Duniya se zyada humko teri dosti ki jarurat hai.

32. Faasle mita kar aapas mei pyar rakhna,
Dosti ka rishta yun hi bar-karaar rakhna,
Malum hai dost bahut hai aapke,
Par unke beech apni iss parchayi ka khayal rakhna.

31. Dhadkan hamari tumse jo kahe,
Sanson ko bhi uski khabar na lage,
Bahut khubsurat hai yeh dosti ka rishta hamara,
Dua hai isey kisi ki nazar na lage.

30. Chahte haim hum aapko kitna yeh batayein kaise,
Dosti aapki aapse chupaye kaise,
Asmaan se bhi unchi hai apni dosti,
Is chote se SMS mai aapko samjhayein kaise.

29. Mil jati hai kitno ko khushi,
Mit jate hain kitno ke gum,
Message isliye bhejte hai hum,
Taki na milne se bhi apni dosti na ho kam.

28. Kyun aapki khamoshi mujhe khamosh kar jati hai,
Kyun aapki udasi mujhe udash kar jati hai,
Kya rishta hai mera aur aapka,
Jo har pal aapki yaad aa jati hai.

27. Gujarish hamari woh maan na sake,
Majburi hamari woh jaan na sake,
Kehte hain marne ke baad bhi yaad rakhenge,
Jeete ji jo hame pehchan na sake.

26. Kabhi hasa dete ho, kabhi rula dete ho,
Kabhi kabhi neend se jaga dete ho,
Magar jab bhi dil se yaad karte ho,
Kasam se zindagi ka ek pal badha dete ho.

25. Nazaron ko nazare ki kami nahi hoti,
Baharon ko phool ki kami nahi hoti,
Aap hume kyun yaad karenge aap toh asman hai,
Aur asman ko sitaro ki kami nahi hoti.

24. Saari duniya ki muskan tere paas hai,
Yeh zamin aur asman tere paas hai,
Gam na karna ki tujhe yaad nahi karte,
Aye dost meri toh jaan tere paas hai…

23. Tum dost banke aise aaye zindagi mai,
Ki hum yeh zamana hi bhul gaye,
Tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi,
Par hum toh tere bagair jeena hi bhul gaye.

22. Ek jaise dost sare nahi hote,
Kuch hamare hokar bhi hamare nahi hote,
Aapse dosti karne ke baad mehsus hua,
Kaun kehta hai “taare zamin par” nahi hote.

21. Takdir ne chaha, Takdir ne bataya,
Takdir ne aapko aur humko milaya,
Khushnasib the hum ya woh pal,
Jab aap jaisa anmol dost hamari zindagi mai aaya.

20. Rulana har kisi ko aata hai,
Hasana kisi-kisi ko aata hai,
Rula ke jo mana le woh sacha yaar hai,
Aur jo rula ke khud bhi aansu bahaye,
Woh sacha pyar hai.

19. Ek din jab hum duniya se chale jayenge,
Mat sochna aapko bhul jayenge,
Bas ek baar aasman ki taraf dekh lena,
Mere aansoo barish banke baras jayenge.

18. Khamosh raat ke pehlu main sitare na hote,
In rookhi aankhon main rangeen najare naa hote,
Hum bhi na karte parwah aapki,
Agar aap itne pyare na hote.

17. Tazi hawa mai phulo ki mahak ho,
Pehli kiran mei chidiyo ki chehak ho,
Jab bhi kholo aap apni palkein,
Un palkon mai bus khushiyon ki zalak ho.

Two Line Shayari In Hindi Best

16. Taqdir likhne wale ek ehsaan karde,
Mere dost ki taqdir mai ek aur muskan likh de,
Na mile kabi dard unko,
Tu chahe to uski kismat mai meri jaan likh de.

15. Hum kabhi apno se khafa ho nahi sakte,
Pyar ke rishte bewafa ho nahi sakte,
Aap bhale hume bhulke so jao,
Hum aapko yaad kiye bina so nahi sakte…

14. Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
Bahut mushkil hota hai dil ko samjana,
Yaar zindagi toh beet jayegi,
Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana.

13. Mushkilon mai jeena nahi chahate,
Door tumse ho kar ab rehna nahi chahate,
Yun toh dost bahut bane is zindagi mai par,
Aap jaise dost ko khona nahi chahate.

12. Yaaadon mai hamari woh bhi khoye honge,
Khuli aankhon se kabhi woh bhi soye honge,
Mana hasna hai aada gam chupane ki,
Par haste-haste kabhi woh bhi roye honge.

11. Chand se jab mulakat hoti hai,
Aap logon ke baare mei baat hoti hai,
Woh kehte hain mere paas khubsurat sitare hain,
Hum kehte hain unse bhi khubsurat yaar hamare hain.

10. Shaam ki tanhai mai kho jana,
Kisi ki masti mai doob na jana,
Milegi jarur kal manjil tumhe,
Apni manzil ko pakar is jaan ko bhul na jana.

9. Jis din band kar li humne ankhein,
Kai ankhon se us din aansu barsenge,
Jo kehte hain ke bahut tang karte hai hum,
Wahi hamari ek shararat ko tarsenge.

8. Koshish toh kijiye hume yaad karne ki,
Lamhe toh apne aap hi mil jayenge,
Tamana toh kijiye humse milne ki,
Bahane toh apne aap hi mil jayenge.

7. Mat pucho humse ki tumhe kitna yaad kiya karte hain,
Aapke msg ke intezaar mai hi jiya karte hain,
Agar na aye kabhi msg tumhare toh,
Purana hi pad ke muskura liya karte hain.

6. Sabke chehre mei woh baat nahi hoti,
Thode se andhere mai raat nahi hoti,
Zindagi mai kuch log bahut pyare hote hain,
Kya karein unhi se aajkal mulakat nahi hoti…

5. Chote se dil mei arman koi rakhna,
Duniya ki bhid mei pehchan koi rakhna,
Achhe nahi lagte jab rehte ho udas,
Apne hoto pe sada muskaan wahi rakhna.

4. Hawaon ke bina fiza mei surur na hota,
Chandani ko bhi chand ke bina gurur na hota,
Aap jaisa dost agar na hota toh,
Dil bhi msg karne ko majbur na hota…

3. Hum chand hain to tum uski roshni ho,
Hum phool hai toh tum uski khushbu ho,
Chodenge na kabhi saath tera kyunki,
Hum dost hai toh tum dosti ki mehak ho.

2. Rishta banaya hai toh nibhayenge,
Har pal aapko hasayenge-satayenge,
Pata hai aapko toh fursat nahi hai yaad karne ki,
Hum hi msg kar-kar ke apni yaad dilayenge.

1. Kisi ke deedar mai tadapta hai yeh dil,
Kisi ke intezar mai tarasta hai yeh dil,
Kya kamaal ka hai yeh dil,
Khud apna ho kar bhi kisi aur ke liye dhadakta hai yeh dil.
Loading...

0 comments:

Post a Comment